Saturday, March 1, 2008

Mehfuz...


Zindagi Hai dhuan to kya
Bujh gayi har subah to kya
Rootha mujhse khuda to kya
Ho gaye hum juda to kya
Faasle they hazaaron darmiyan,
Waqt ke they hazaaron imtehaan
Fir bhi ban ke nishaan,
Tere honthon ke kisi kone mein Hansi ki tarah
main mehfuz hoon
Teri aankhon ke chipe dard mein Aansoo ki tarah
main mehfuz hoon
Bewajah har wajah to kya
Begunahii hai gunaah to kya
Beasar hai dua to kya
Ho gaye hum juda to kya
Raaz gehre hazaron bepanah
Lafz thehare hazaaron bejubaan
Fir bhi ban ke nishaan Tere honthe ke kisi kone mein Hansi ki tarah
main mehfuz hoon
Tere kesu ke mude pannon meinYaadon ki tarah
main mehfuz hoon
Mehfuz hoon Teri aankhon mein
Mehfuz hoonTeri yaadon mein
Mehfuz hoonTeri baaton mein
Mehfuz hoonTere baalon mein
Mehfuz hoon
Faasle the hazaron darmiyaan
Waqt ki thi hazaron aandhiyan
Fir bhi ban ke nishaan
Tere honthon ke kisi kone mein Hansi ke tarah
main mehfuz hoon
Tere kaandhe ke chipe til meinVaadon ki tarah
main mehfuz hoon

No comments:

Search Here....

Custom Search